vo harf-o-naqsh se ḳhali kitab mangta hai
saval karta nahin hai javab mangta hai
main saara saal hi rakhta huun apne zaḳhm hare
vo saara saal hi taaza gulab mangta hai
main reza reza ise TuuT kar dikhata huun
vo lamhe lamhe ka mujh se hisab mangta hai
suna hai us ki mohabbat hai mavara-e-hayat
so saara shahar hi marne ke ḳhvab mangta hai
vo is tarah bhi parakhta hai doston ka ḳhulus
ki but hai mom ka aur aftab mangta hai
har ek shaḳhs hai us ki karamaton ka asiir
usi se hosh usi se sharab mangta hai
vo pahron ghurta rahta hai a.inon ko ‘na.im’
jo kho chuka hai vo ahd-e-shabab mangta hai
Leave a Reply