vo gham jo hasil-e-hasti hai mil chuka ki nahin
phir aur kaun sa hai lutf dil-kusha ki nahin
mizaj-e-dard-e-tamanna badal gaya ki nahin
vafa ne ranj ko rahat bana liya ki nahin
jo dil men toḌti rahti thi neshtar har dam
hui vo kavish-e-jan ka vo jan-faza ki nahin
jala diya tha lahu jis ne dil ki rag rag ka
vo soz-e-atish-e-gham raas aa gaya ki nahin
nazar nazar pe hai paiham tajalliyon ka nuzul
talash-e-husn ka haq ho gaya ada ki nahin
zahe surur ḳhalish ye ḳhabar nahin dil ko
jo chubh gaya tha vo kanTa nikal gaya ki nahin
karishma apni tavajjoh ka tum ne dekh liya
Thahar ga.i miri umr-e-gurez-pa ki nahin
zara batao agar tum ne sab ki baat suni
mire sukut ne bhi tum se kuchh kaha ki nahin
kahan ye hosh nashat-e-talab men ai ‘kaukab’
na-gufta harf-e-talab sun liya gaya ki nahin
Leave a Reply