vo ek sajda ki jo be-rukua hota hai
ajab maqam-e-ḳhushu-o-ḳhuzua hota hai
bisat ulaTti hai shab ki sitare bujhte hain
charagh gul karo suraj tulua hota hai
mo.arriḳhon se kaho likkhen ik na.i tariḳh
vo asman zamin se rujua hota hai
zaban milti hai dhaḌkan ko isti.aron ki
bayan dil ka mahall-e-vaqua hota hai
Leave a Reply