kaun tha vo khvab ke malbus men lipta hua
raat ke gumbad se takra kar palat aai sada
main to tha bikhra hua sahil ki piili ret par
aur dariya men tha niila asman duuba hua
soch ki sukhi hui shakhon se murjhae hue
tuut kar girte hue lafzon ko main chunta raha
jab bhi khud ki khoj men nikla huun apne jism se
kaali tanhai ke jangal se guzarna hi pada
phailta jaata hai thandi chandni ke saath saath
shoala shoala lazzaton ki tishnagi ka daera
Leave a Reply