vo din jo biit gaya phir kisi ne paaya nahin
kabhi kaman se koi tiir ja ke aaya nahin
Thahar gaya hai sar-e-markaz-e-falak suraj
ye vaqt vo hai ki divar men bhi saaya nahin
ye be-dili-e-musalsal ye ranj-e-na-malum
tujhe bhula ke bhi ham ne tujhe bhulaya nahin
asir-e-bazm is avargi ko kam na samajh
jo apne saath guzara vo din ganvaya nahin
bichhaḌne se bhi siva hai ye gham ki sham-e-firaq
koi sitara in ankhon men jhilmilaya nahin
bas apna naam vo kaghaz pe likh ke chhoḌ gaya
main so raha tha to us ne mujhe jagaya nahin
main apne ahd ki takmil tujh se kya karta
ki main ne ḳhud se bhi va.ada koi nibhaya nahin
‘farasat’ ek to kam-himmati mujhi men thi
phir us nazar ne bhi kuchh hausla baḌhaya nahin
Leave a Reply