koi in tang-dahanon se mohabbat na kare
aur jo ye tang karen munh se shikayat na kare
ishq ke daagh ko dil mohr-e-nabuvvat samjha
dar hai kafir kahin dava-e-nabuvat na kare
hai jarahat ka miri sauda-e-almas ilaaj
faeda us ko kabhi sang-e-jarahat na kare
har qadam par mire ashkon se ravan hai dariya
kya kare jaada agar tark-e-rifaqat na kare
aaj tak khuun se mire tar hai zaban-e-khanjar
kya kare jab ki talab koi shahadat na kare
hai ye insan bade ustad ka shagird-e-rashid
kar sake kaun agar ye bhi khilafat na kare
bin jale shama ke parvana nahin jal sakta
kya badhe ishq agar husn hi sabqat na kare
phir chala maqtal-e-ushshaq ki janib qatil
sar pe barpa kahin kushton ke qayamat na kare
Leave a Reply