• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Chup-Chap Aansu Bahane Ki Raaten

Wo Chup-Chap Aansu Bahane Ki Raaten

vo chup-chap aansu bahane ki raten

vo ik shaḳhs ke yaad aane ki raten

shab-e-mah ki vo ThanDi anchen vo shabnam

tire husn ke rasmasane ki raten

javani ki doshizgi ka tabassum

gul-e-zar ke vo khilane ki raten

phuvaren si naghmon ki paḌti hon jaise

kuchh us lab ke sunne-sunane ki raten

mujhe yaad hai teri har sub.h-e-ruḳhsat

mujhe yaad hain tere aane ki raten

pur-asrar si meri arz-e-tamanna

vo kuchh zer-e-lab muskurane ki raten

sar-e-sham se ratjaga ke vo saman

vo pichhle pahar niind aane ki raten

sar-e-sham se ta-sahar qurb-e-janan

na jaane vo thiin kis zamane ki raten

sar-e-mai-kada tishnagi ki vo qasmen

vo saaqi se baten banane ki raten

ham-aghoshiyan shahid-e-mehrban ki

zamane ke gham bhuul jaane ki raten

‘firaq’ apni qismat men shayad nahin the

Thikane ke din ya Thikane ki raten

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

muneer-niyazi

Khwahish Ke Khwab

Aa Gaya Phir Ramazan Kya Hoga

siraj-aurangabadi

Ashk-E-Khunin Hai Shafaq Aaj Meri Aankhon Mein

poet

Nale Mein Kabhi Asar Na Aaya

Ik-Duje Ke Basi Un Ko Aur Basera Kya Malum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet