vo but bina nigah jama.e khaḌa raha
main aankh band kar ke use pujta raha
ḳhush-fahmiyon ka aaj bharam khul gaya to kya
ik moḌ par to us ka mira samna raha
tum ko to ek umr hui hai juda hue
hairan huun rat-bhar main kise DhunDhta raha
ik ik daricha band tha phir bhi ye Dar raha
chhup-chhup ke jaise koi hamen jhankta raha
us ki nigah fitna-ada to bahana thi
ḳhud mera dil bhi mera lahu chusta raha
‘anjum’ kise ḳhabar ki koi mahv-e-intizar
kal jalti dopahar men akela khaḌa raha
Leave a Reply