vo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai
ta.alluqat to ab bhi hain rabta kam hai
tum is ḳhamosh tabi.at pe tanz mat karna
vo sochta hai bahut aur bolta kam hai
bila sabab hi miyan tum udaas rahte ho
tumhare ghar se to masjid ka fasla kam hai
fuzul tez havaon ko dosh deta hai
use charagh jalane ka hausla kam hai
main apne bachchon ki ḳhatir hi jaan de deta
magar gharib ki jaan ka muavza kam hai
Leave a Reply