vo aaya to itna pyaar dega
din bhar ki thakan utaar dega
milta hai to haath chumta hai
vo shaḳhs to mujh ko maar dega
ma.alum na tha vo meri ḳhatir
jiiti hui baazi haar dega
dekhenge use charagh aur main
vo apna libas utaar dega
dekhega vo bas nazar uTha ke
a.ina use sanvar dega
likkhega vo lau main chehra ‘qaisar’
kaghaz pe kiran utaar dega
Leave a Reply