vasl ki un buton se aas nahin
ki Tike dakshina ko paas nahin
imtihan-e-vafa pe karb-e-firaq
paas hain haa.e aur paas nahin
nafs ko maar kar mile jannat
ye saza qabil-e-qayas nahin
dam men ye aana aur jaana kya
aap insan hain kuchh havas nahin
ḳhauf-e-viran hua hai ḳhana-e-dil
aas kaisi ki yaan to yaas nahin
ka.abe men ja ke kya karen zahid
vaan ki ab-o-hava hi raas nahin
sha.iri hai miri ki sehr-e-halal
bhala kah den to haq-shanas nahin
pa.un kis se mazaq-e-sher ki daad
aaj ‘faizi’-o-‘kalidas- nahin
jam-e-ḳhurshid men hai ab-e-hayat
ram-rangi ka ye gilas nahin
‘kaifi’ aur jam-e-bada se inkar
tum ko kuchh naam ka bhi paas nahin
Leave a Reply