vasl ki shab bhi khafa vo but-e-maghrur raha
hausla dil ka jo tha dil men ba-dastur raha
umr-e-rafta ke talaf hone ka aaya to khayal
lekin ik dam ki talafi ka na maqdur raha
jama kis din na hue mausam-e-gul men mai-kash
roz hangama tah-e-saya-e-angur raha
gardish-e-bakht kahan se hamen laai hai kahan
manzilon vadi-e-ghurbat se vatan duur raha
rast-bazi kar agar namvari hai darkar
daar se khalq men avaz-e-mansur raha
vo to hai charkh chaharum pe ye pach mohalle par
sach hai iisa se bhi baala tira mazdur raha
fasl-e-gul aai gai sehn-e-chaman men sau baar
apne sar men tha jo sauda vo ba-dastur raha
jalva-e-barq-e-tajalli nazar aaya na kabhi
muddaton ja ke vahan men shajar-e-tur raha
zulf o rukh donon hain jaane se javani ke kharab
mushk vo mushk na kafur vo kafur raha
ghol-e-sahra ne mira saath na chhoda shab bhar
le ke mashal kabhi nazdik kabhi duur raha
ham bhi maujud the kal mahfil-e-janan men ‘amir’
raat ko der talak aap ka mazkur raha
Leave a Reply