vasl ki raat ajab hijr manata hua main
mujh men aata hua tu tujh ko bhagata hua main
ek tasvir men aa baiThe hain donon pahlu
mujh se ruTha hua tu tujh ko manata hua main
jaane kis samt baha le gaya mujh ko paani
tu ne dekha hi nahin chiḳhta gaata hua main
roz aa jaata huun sahraon se ghar ki janib
kuchh parindon ko sar-e-sham uḌata hua main
Leave a Reply