sar-bar-avurda sanobar ki ghani shakhon men
chand billor ki tuuti hui chudi ki tarah atka hai
daman-e-koh ki ik basti men
timtimate hain mazaron pe charagh
asman surmai farghul men sitare tanke
simta jaata hai jhuka aata hai
vaqt be-zar nazar aata hai
sar-bar-avurda sanobar ki ghani shakhon men
subh ki nuqrai tanvir rachi jaati hai
daman-e-koh men bikhre hue khet
lahlahate hain to dharti ke tanaffus ki sada aati hai
asman kitni bulandi pe hai aur kitna aziim
nae suraj ki shuaon ka musaffa angan
vaqt bedar nazar aata hai
sar-bar-avurda sanobar ki ghani shakhon men
aftab ek alaao ki tarah raushan hai
daman-e-koh men chalte hue hal
sina-e-dahr pe insan ke jabrut ki tarikh raqam karte hain
asman tez shuaon se hai is darja gudaz
jaise chhune se pighal jaega
vaqt tayyar nazar aata hai
sar-bar-avurda sanobar ki ghani shakhon men
zindagi kitne haqaeq ko janam deti hai
daman-e-koh men phaile hue maidanon par
zauq-e-takhliq ne ejaaz dikhae hain lahu ugla hai
asman gardish-e-ayyam ke rele se hirasan to nahin
khair-maqdam ke bhi andaz hua karte hain
vaqt ki raah men mod aate hain manzil to nahin aa sakti
Leave a Reply