
Sulaiman Jazib
vaqt ne yuun majbur kiya
ḳhud ko ḳhud se duur kiya
kab nashshe men taqat thi
ulfat ne majbur kiya
teri yadon ne aa kar
aur bhi kuchh ranjur kiya
chand khaḌa tha raste men
rukne par majbur kiya
‘jazib’ toḌa a.ina
aks ko chakna-chur kiya

Leave a Reply