vaqt ki tah men utar ja.unga
main bhi lamha huun guzar ja.unga
ab jo nikla huun tire ḳhvab liye
ta-ba-imkan-e-nazar ja.unga
tu har ik shai men milega mujh ko
tujh ko pa.unga jidhar ja.unga
vo bhi din the ki guman hota tha
tujh se bichhḌunga to mar ja.unga
tu mira hamdam-o-hamraz na ban
main to nashsha huun utar ja.unga
Leave a Reply