karen kis liye ham kisi ka lihaz
kisi ko nahin jab hamara lihaz
musavat us chiiz ka naam hai
ki uTh jaa.e chhoTe baḌe ka lihaz
lihaz is ka kuchh tum ko bhi chahiye
kiya ham ne kitna tumhara lihaz
kisi ki koi baat sunta nahin
kisi ko nahin ab kisi ka lihaz
khari baat kahne ke aadi hain ham
na beja muravvat na beja lihaz
jo insan zamane ke kaam aa.ega
usi ka karega zamana lihaz
na rutba na ohda na zar hai na zor
kare kaun ‘sarshar’ tera lihaz
Leave a Reply