• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Waqt-E-aKHir Hamein Didar Dikhaya Na Gaya

Waqt-E-aKHir Hamein Didar Dikhaya Na Gaya

poet

Poet

vaqt-e-aḳhir hamen didar dikhaya na gaya

ham to duniya se ga.e aap se aaya na gaya

raz-poshi se kabhi haath uThaya na gaya

nabz dikhla.e maraz apna bataya na gaya

phuuT nikli na ruki siine ki andar ḳhushbu

mushk tha dagh-e-mohabbat ki chhupaya na gaya

mera dil kis ne liya naam bata.un kis ka

main huun ya aap hain ghar men koi aaya na gaya

haath uTha baiThe ham is zindagi-e-shirin se

gham juda.i ka ye tha talḳh ki khaya na gaya

jab kiya qasd ki ehsan kisi ka luun main

aabru ghaTne lagi haath baḌhaya na gaya

aaj vo haal hai apna jo kisi ne puchha

ho ga.e qufl-e-dahan-sharm bataya na gaya

ranj puchha jo mohabbat men to rahat samjhe

dukh uThaya kabhi dil us se uThaya na gaya

kuchh na puchho lab-e-shirin ki halavat ham se

ye vo halva hai kabhi baanT ke khaya na gaya

haif ankhon ne bhi dekhi na miri tishna-labi

munh men paani mizha-e-tursi chuvaya na gaya

na-tavani ka bura ho ham udhar ko jo chale

tivr aa aa ga.e gir gir paḌe jaaya na gaya

maghz chaTa kabhi andoz-o-nasihat vaale

gham hamara kisi gham-ḳhvar se khaya na gaya

dost kab dost ka hota hai muḳhill-e-rahat

so ga.e paanv to hathon se jagaya na gaya

kab harara dil-e-betab ka rone se miTa

sho.ala-e-barq kabhi munh se bujhaya na gaya

amad-e-yar ki kya kya na suni garm ḳhabar

umr-bhar rasta dekha koi aaya na gaya

jis ke juuya hue ham DhunDh nikala us ko

aql gham hai ki mizaj aap ka paaya na gaya

us ke kuche se za.ifi men bhi uTThe na qadam

sar pe dhuup aa ga.i divar ka saaya na gaya

qat.a jab se hui ummid-e-visal-e-janan

is tarah baiTh gaya dil ki uThaya na gaya

jagna hi miri taqdir men kya likkha tha

shab-e-furqat men ajal se bhi sulaya na gaya

qasd tha ‘bahr’ ka but-ḳhane se ka.abe ki taraf

la-ubali hai ḳhuda jaane gaya ya na gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mujhse Luknat Hui Aur Baat Sanbhaali Usne

poet

Rahte Hain Is Tarah Se Gham-O-Yas Aas-Pas

Jinko Tauqir-E-Rah-O-Rasm-E-Wafa Yaad Nahin

noshi-gilani

Ye Nam Mumkin Nahin Rahega Maqam Mumkin Nahin Rahega

poet

Har Badalte Hue Manzar Mein Raho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2026 · Urdu Poet