
Sahba Akhtar
vaqif nahin to us ke labon ko kanval na likh
alfaz ko ḳhizab laga kar ghazal na likh
momin ke saath sirf ḳhuda hai sanam nahin
us bekasi ko uqda-e-mushkil ka hal na likh
lafzon men kab simaTta hai vo sehr-e-be-karan
sheron ko husn-e-dost ka nemul-badal na likh
insan aap apni tabahi ko kam nahin
duniya ki is tabahi ko kar-e-ajal na likh
‘sahba’ ke saath saath na chal saya-e-zamir
ai mere ham-nashin miri fard-e-amal na likh

Leave a Reply