valihana mire dil men miri jaan men aa ja
mere iman men mire vahm-o-guman men aa ja
muund in ankhon ko sahab nazran men aa ja
hadd-e-nazargi-e-kaun-o-makan men aa ja
ayat-e-rahmat-e-yazdan ki tarah dil men utar
ek ik lafz men ek ek bayan men aa ja
tujhe siine se laga luun tujhe dil men rakh luun
dard ki chhanv men zaḳhmon ki amaan men aa ja
kuchh to ima-e-karam ho nigah-e-zaḳhm-navaz
ab ke abru-e-kashida ki kaman men aa ja
raunaq-e-jan na sahi surat-e-aseb sahi
mere ujḌe hue tarik makan men aa ja
hai tamanna-e-sukun dil ko to ‘qaisi’ ki tarah
halqa-e-dard-e-mohabbat-zadagan men aa ja
Leave a Reply