main jauhar par muqaddam huun
mire paaon ki bedi ye zamana ban nahin sakta
na hi mahdud huun aur na-gahani bhi nahin huun main
muqaddar tha mira maazi
magar main haal, mustaqbil ka sauda sar men rakhti huun
main hi to markazi kirdar huun apni kahani ka
asasi kuchh nahin hai
mantiqi na jauhari kuchh hai
main khud men duub kar tashkil-e-nau karti huun khud apni
men khud takhliq karti huun
makan ke maani-o-mafhum
sachchai mujh se phuti hai
main sachchi huun magar duniya ye jhuti hai
Leave a Reply