vahshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakkha mujh ko
dekhna hai abhi kya kahti hai duniya mujh ko
asar-e-qaid-e-ta.ayyun se bhi azad hai dil
kis tarah band-e-ala.eq ho gavara mujh ko
lene bhi de abhi mauj lab-e-sahil ke maze
kyuun Duboti hai ubharne ki tamanna mujh ko
ḳhvahish-e-dil thi ki milta kahin sauda-e-junun
main ne kya manga tha qismat ne diya kya mujh ko
teri be-pardagi-e-husn ne ankhen kholin
tang-damani-e-nazzara thi parda mujh ko
aḳhiri daur men mad.hosh hua tha lekin
laghzish-e-pa ne miri ḳhuub sambhala mujh ko
umr saari to kaTi dair-o-haram men ai ‘shauq’
is pe sajda bhi to karna nahin aaya mujh ko
Leave a Reply