vahi laḌki vahi laḌka purana
kahin hota hai ye qissa purana
akele-pan men ab ik tazgi hai
hua jaata hai har rishta purana
jahan-e-aql ka insan jahil
naya jughrafiya naqsha purana
jahan dekho vahi farsuda manzar
jidhar niklo vahi rasta purana
naya sha.ir bhi uljha hai zaban men
ye ustadon se bhi nikla purana
na uktao jo be-par ki uḌaa.e
ki ‘zahid’ yaar hai apna purana
Leave a Reply