vahan bhi zahr-zaban kaam kar gaya hoga
ki aadmi tha vo baton se dar gaya hoga
thi main bhi us pe hansi mil ke is jahan ke saath
ye sun ke sharm se shayad vo mar gaya hoga
hazar baar suna phir bhi dil nahin maana
ki mere pyaar se dil us ka bhar gaya hoga
nae makin hain ab vaan use khabar kab thi
bade khulus se vo mere ghar gaya hoga
koi daricha khula rah gaya tha andhi men
mira vajud yaqinan bikhar gaya hoga
vo janta to hai mahfil ke bhi sabhi adab
jo dekh kar nahin uttha to dar gaya hoga
na ho jo sath pe halchal to is se ye na samajh
chadha hua tha jo dariya utar gaya hoga
Leave a Reply