vafa kar raha huun jafa chahta huun
ḳhata kar raha huun saza chahta huun
mohabbat ka ye bhi koi marhala hai
ki main nala-e-na-rasa chahta huun
nigahon ki iffat dilon ki taharat
main sar se qadam tak haya chahta huun
taraddud tavahhum ki zulmat miTa kar
main ilm-o-yaqin ki ziya chahta huun
main aḳhlaq-o-kirdar-o-ruhaniyat men
tanazzul nahin irtiqa chahta huun
ḳhuda ki shari.at ho nafiz zamin par
main insaniyat ki baqa chahta huun
hai jannat to teri raza ki alamat
ilahi main teri raza chahta huun
‘uruj’ un ka paigham pahuncha to mujh tak
magar main kuchh is se siva chahta huun
Leave a Reply