uthiye ki phir ye mauqa hathon se ja rahega
ye karvan hai akhir kab tak ruka rahega
zakhmon ko ashk-e-khun se sairab kar raha huun
ab aur bhi tumhara chehra khila rahega
band-e-qaba ka khulna mushkil bahut hai lekin
jo khul gaya to phir ye uqda khula rahega
sargarmi-e-hava ko dekha hai paas dil ke
is aag se ye jangal kab tak bacha rahega
khulti nahin hai ya rab kyuun niind raftagan ki
kya hashr tak ye aalam soya pada rahega
yaksar hamare baazu shal ho gae hain ya-rab
akhir daraz kab tak dast-e-dua rahega