• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai

Dosti Apni Kisi Se Na Shanasai Hai

dosti apni kisi se na shanasa.i hai

zindagi ek musalsal shab-e-tanha.i hai

husn inayat hai rifaqat hai masiha.i hai

ishq ibadat hai parastish hai jabin-sa.i hai

raaz mahsus hai is darja ki mere dil men

ḳhud tamasha hai vo aur ḳhud hi tamasha.i hai

jis ke piine men baqa jis ke pilane men savab

meri taqdir men zahid vo sharab aa.i hai

ham se mil lete hain ye un ki dil-ara.i hai

duur ja baiThte hain ham yahi dana.i hai

ankhon ankhon men pila di mire saaqi ne mujhe

ḳhauf-e-zillat hai na andesha-e-rusva.i hai

hamd-e-bari hai mohabbat jo usi se ho jaa.e

jis ko maḳhsus koi apni ada bhaa.i hai

vo mujhe dekh ke parde men jo chhup jaate hain

main samajhta huun mohabbat mujhe raas aa.i hai

nisf sad-sal se bhi zyada hui umr tamam

aur kis din ke liye un ki masiha.i hai

dil men rakhte hain harifon se chhupa kar mujh ko

un ko ma.alum hai rahbar mira sauda.i hai

Thiik urdu abhi likhni bhi nahin aa.i hai

aisi kam-ilmi pe kya ḳhuub ye goya.i hai

meri aadat hai vafa dil men shakeba.i hai

baat yuun bargah-e-naz men ban aa.i hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaise KHushbu Ko Saliqe Se Saba Le Jae

adil-mansuri

Gol Kamre Ko Sajata Hun

mumtaz-mirza

Rang Kuchh Shokh Se Taswir Mein Bhar Kar dekho

parveen-shakir

Bahut Roya Wo Hum Ko Yaad Kar Ke

akhtar-shirani

Umr Bhar Ki Talkh Bedari Ka Saman Ho Gain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet