uTha sho.ala sa qalb-e-na-tavan se
hava aa.i kabhi jo shahr-e-jan se
hamari samt bhi chashm-e-inayat
tiri ḳhatir bane hain nim-jan se
shikayat us se hai jis par fida huun
mujhe shikva nahin saare jahan se
nigahon se ada karte ho matlab
kahan kahte ho kuchh apni zaban se
tumhin the ya vo parchha.in tumhari
abhi bijli si jo guzri yahan se
koi saani nahin us ka jahan men
mujhe nisbat hai jis sarv-e-ravan se
musibat-ashna yuun hi nahin main
juda main bhi hui huun karvan se
udasi kis liye phaili hui hai
uTha hai kaun aḳhir darmiyan se
idhar aa ashna-e-raz-e-fitrat
sada aati hai dasht-e-be-karan se
Leave a Reply