mujh ko dimagh-e-shevan-o-ah-o-fughan nahin
ik atish-e-ḳhamosh huun jis men dhuan nahin
kis sadgi se kahte ho ham raz-dan nahin
vo kaun sa hai raaz jo tum par ayaan nahin
vo dushman-e-sukun-e-dil-o-jan yahi na ho
ma.asum si nigah ki jis par guman nahin
hai aag si lagi hui rag rag men kya kahun
ik chashm-e-intizar hi yaan ḳhun-chakan nahin
yuun dekhta huun barq ko allah re be-dili
jaise kahin chaman men mira ashiyan nahin
is chashm-e-naz ki koi dekhe fusun-gari
bar-e-hayat bhi mujhe ab to garan nahin
ai mast-e-naz mashq-e-sitam is se bhi siva
ai zauq-e-dard haif agar javedan nahin
ai dil sar-e-niyaz ko kya qaid-e-sang-o-dar
ka.aba hi kya bura hai jo vo astan nahin
ki fursat-e-hayat tiri justuju men sirf
ai vaa.e gar hunuz-e-vafa ka guman nahin
Leave a Reply