us ne aate hi diya bujha diya
haal phir saara mujhe suna diya
muḳhtasar se us ke ik tabassum par
jo kuchh bhi tha paas vo luTa diya
be-sabri se paḌh gaya ek ek lafz
aur phir vo ḳhat vahin jala diya
sar uThaya jis ne basti ke liye
us ke aage ham ne sar jhuka diya
saara din dariya kinare ret par
naam likha mera aur miTa diya
muskura kar baat hi to ki us ne
logon ne is par tufan uTha diya
is taraf us ne kabhi dekha na tha
aur jab dekha to but bana diya
ham khare sikke liye baiThe rahe
us ne naqli note tak chala diya
Leave a Reply