us ki nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua
dil tha sadaf misal ba-rang-e-guhar hua
vo shoḳhiyan thiin aur na vo rang-rup tha
kal main bahut udaas use dekh kar hua
isar aur vafa ki mire dastan ye hai
jab bhi vatan pe vaar hue main sipar hua
vo hadisa to koi baḌa hadisa na tha
ye aur baat dil pe ziyada asar hua
aisa bhi ek dar hai isi ka.enat men
us dar ka jo faqir hua tajvar hua
ab ja ke mujh ko sard shabistan hua nasib
barson tamam jism pasine men tar hua
dahshat-zada fazaon se vo be-niyaz tha
jab us ka ghar jala hai to us par asar hua
yaad aa ga.i thi mujh ko shahid-e-vafa ki pyaas
dariya ko dekh kar jo mira dil sharar hua
patthar bhi phenkte koi aata nahin idhar
buḌhe shajar ki tarah jo main be-samar hua
jis din miri ghazal ne chhue us ke lab ‘bashir’
us din miri ghazal ka safar mo’atabar hua
Leave a Reply