Uske Hathon Mein Wo Tasir-E-Masihai Thi

us ke hāthoñ meñ vo tāsīr-e-masīhā.ī thī

sūkhte peḌ se bhī shāḳh nikal aa.ī thī

zindagī bhar vo udāsī ke liye kaafī hai

ek tasvīr jo hañste hue khiñchvā.ī thī

kal to marne meñ suhūlat bhī bahut thī mujh ko

hijr thā raat thī barsāt thī tanhā.ī thī

mar gayā pyaas se vo shaḳhs bhī ab hairat hai

jis kī dariyāoñ se barsoñ kī shanāsā.ī thī

dekh lene kī suhūlat to sabhī ko thī magar

chand hī āñkheñ thiiñ jin āñkhoñ meñ bīnā.ī thī

Leave a Comment