use jo dekha to dekh kar vo laga mohabbat ka ik sitara
zamin se ho kar guzar raha tha ḳhuda ki rahmat ka ik sitara
thaki hui shab jahan ruki thi jahan Duboya tha chand us ne
dua men shab ne gira diya us jagah pe qismat ka ik sitara
baha.e hijrat men ashk lakhon magar kahan thi vo baat un men
jo baat us men hai jo gira hai mizha se qurbat ka ik sitara
jo ishq karte hain asman se vo ḳhvab main ne bana liye hain
unhen paron se navaz kar phir banaya vahshat ka ik sitara
sukun pe ye iztirab hai ab ḳhudaya koi to mo.ajiza ho
falak se TuuTe gire miri chhat pe us ki sohbat ka ik sitara
saval ham ne kiya tha tum se kya ishq jaisa tumhen bhi kuchh hai
chamak raha hai hamari ankhon men ab bhi raghbat ka ik sitara
sarab afshan tavil rahen mohabbaton ko bula rahi hain
unhen pata hai ki hai mohabbat men hi suhulat ka ik sitara
hina se likha miri hatheli pe naam tera mahak raha hai
shaghl yahi hai yahi hai meri siyah fursat ka ik sitara
hayat raushan si ho ga.i hai jo ruuh men tu hua hai shamil
tire labon se mire labon ne piya tha ruḳhsat ka ik sitara
tumhari mahfil men chand ban kar main aa na paa.i muaaf karna
saja diya hai tumhari mahfil men main ne ḳhalvat ka ik sitara
shadid mere fasane jaisa nahin fasana-e-ishq koi
savab jaisa mila hai mujh ko teri inayat ka ik sitara
murad mangi thi titliyon ne ḳhizan bhi phulon ko nuur baḳhshe
bala ki sada-dili pe TuuTa bahar-e-jannat ka ik sitara
Leave a Reply