use dil se bhala dena zaruri ho gaya hai
ye jhagḌa hi miTa dena zaruri ho gaya hai
lahu barfab kar degi thakan yaksaniyat ki
so kuchh fitne jaga dena zaruri ho gaya hai
gira de ghar ki divaren na shorida-sari men
hava ko rasta dena zaruri ho gaya hai
bahut shab ke hava-ḳhvahon ko ab khulne lage hain
diyon ki lau ghaTa dena zaruri ho gaya hai
bharam jaa.e ki jaa.e raah par aa.e na aa.e
use sab kuchh bata dena zaruri ho gaya hai
main kahta huun ki jaan hazir kiye deta huun lekin
vo kahte hain ana dena zaruri ho gaya hai
ye sar shanon pe ab ik bojh ki surat hai ‘ali’
sar-e-maqtal sada dena zaruri ho gaya hai
Leave a Reply