us se bichhaḌ ke bab-e-hunar band kar diya
ham jis men ji rahe the vo ghar band kar diya
shayad ḳhabar nahin hai ghazalan-e-shahr ko
ab ham ne jangalon ka safar band kar diya
apne lahu ke shor se tang aa chuka hun main
kis ne ise badan men nazar-band kar diya
ab DhunD aur qadr-shanasan-e-rang-o-bu
ham ne ye kaam ai gul-e-tar band kar diya
ik ism-e-jan pe Daal ke ḳhak-e-faramushi
andhe sadaf men ham ne guhar band kar diya
Leave a Reply