us lab ki ḳhamushi ke sabab TuTta huun main
dast-e-dua men rakkha hua aa.ina huun main
ab ja ke ho sakegi mohabbat vasuq se
ḳhud se bichhaḌte vaqt kisi se mila huun main
abad hai ḳhazane ki afvah se vajud
matruk jangalon ka koi rasta huun main
dastar kaghzi hai fazilat hai naam ki
chhoTon ki mehrbani se ghar men baḌa huun main
ro kar na soya jaa.e to kya niind ka javaz
bistar ki har shikan men paḌa jagta huun main
huun apni raushni ki aziyyat men mubtala
jalta hua charagh huun ulTa paḌa huun main
Leave a Reply