uns hai khana-e-sayyad se gulshan kaisa
naz-parvard-e-qafas huun main nasheman kaisa
ham vo uryan hain ki vaqif nahin ai josh-e-junun
naam kis shai ka gareban hai daman kaisa
apni azurda-dili baad-e-fana kaam aai
dher yahan gard-e-kudurat ke hain madfan kaisa
kah diya bas ki tiri aah men tasir nahin
ye na dekha ki ye siina men hai rauzan kaisa
chhut ke us phuul se barbad pade phirte hain
ham to ab tair-e-nighat hain nasheman kaisa
dil use de ke chale mulk-e-adam ko be-khauf
maal rakhte nahin andesha-e-rahzan kaisa
dil-e-betab ki hai sina-e-sozan men sada
asl paara ki hai kya dana-e-gulkhan kaisa
tha kabhi daur-e-asiran-e-qafas ai sayyad
ab to ik phuul ki muhtaj hain gulshan kaisa
chaar din men ye zamana bhi guzar jaega
abhi roenge javani ko ladakpan kaisa
sakht-jan hain tiri talvar se kya khauf hamen
sakhti-e-marg se dabte nahin aahan kaisa
jal gae surat-e-parvana tab ishq se ham
phenk de laash utha kar koi madfan kaisa
ek din ablaq-e-ayyam karega pamal
mujh se rah rah ke bigadta hai ye tausan kaisa
ishq se kaam na tha husn ki parva bhi na thi
yaad aata hai javani men ladakpan kaisa
khelte ho dil-e-betab se phulon ki tarah
aur hota hai miri jaan ladakpan kaisa
shama se aap ke sozan ye suna karte hain
koi muhtaj-e-kafan bhi na ho madfan kaisa
chahta huun koi dekhe na teri tegh ke zakhm
chashm-e-jarrah hai kya dida-e-sozan kaisa
naqsh-e-pa hain havas-e-nam-o-nishan khaak nahin
ham to uthne ke liye baithe hain maskan kaisa
andhiyan garm jo chalti hain miri aahon se
munh chhupata hai charagh-e-tah-e-daman kaisa
siina apna hai hamara dil-e-sozan apna
sham-e-fanus o charagh-e-tah-e-daman kaisa
duur jab se sifat-e-barg-e-khizan-dida hai
yaad aata hai shab-o-roz vo gulshan kaisa
Leave a Reply