dard ka kohsar khinchta huun
saans kab hai ghubar khinchta huun
ishq hai hi nahin ye tohmat hai
dil nahin hai main baar khinchta huun
nabz hai Dubne bhi lagti hai
saans hai zor-dar khinchta huun
khinchta huun use main apni taraf
aur be-iḳhtiyar khinchta huun
to koi sarban karta hai
main ḳhud apni mahar khinchta huun
sher kahta huun main alag Dhab se
qafiya jan-dar khinchta huun
camere mutma.in nahin karte
aks hain baar baar khinchta huun
Leave a Reply