uns apne men kahin paaya na begane men tha
kya nasha hai saara aalam ek paimane men tha
aah itni kavishen ye shor-o-shar ye iztirab
ek chutki khaak ki do par ye parvane men tha
aap hi us ne anal-haq kah diya ilzam kya
hosh kis ne le liya tha hosh divane men tha
allah allah khaak men milte hi ye pa-e-samar
lo khuda ki shaan phal bhi phuul bhi daane men tha
shaikh ko jo parsa kahta hai us ko kya kahun
main ne apni aankh se dekha vo mai-khane men tha
‘shair’-e-nazuk-tabiat huun mira dil kat gaya
saqiya lena ki shayad baal paimane men tha
Leave a Reply