
Alok Mishra
un ki aamad hai gul-fishani hai
rang-e-ḳhushbu ki mezbani hai
kaisi hogi na jaane sham-e-umr
sub.h jab aisi sar-girani hai
maut ka kuchh pata nahin lekin
zindagi sirf nauha-ḳhvani hai
marne vaala hai markazi kirdar
aḳhiri moḌ par kahani hai
ḳhud-kushi jaisi koi baat nahin
ik zara mujh ko bad-gumani hai
ye jo barud hai havaon men
aag thoḌi si bas lagani hai
us ka likkha hi ji raha huun main
us ki babat hi ye kahani hai

Leave a Reply