• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Un Se Hum Lau Lagae Baithe Hain

Un Se Hum Lau Lagae Baithe Hain

poet

un se ham lau lagae baithe hain

aag dil men dabae baithe hain

vo jo gardan jhukae baithe hain

hashr kya kya uthae baithe hain

tere kuche ke baithne vaale

apni hasti mitae baithe hain

zor bal uf-re is nazakat par

khalq ka dil dukhae baithe hain

kyuun uthin un ki bazm se aghyar

rang apna jamae baithe hain

kuchh nahin khak-e-dasht-e-ulfat men

ham bahut khaak udaae baithe hain

ham nahin aap men khushi se ki vo

ghar men mehman aae baithe hain

kyuun na phailaen paaon bazm men ghair

aap ke sar chadhae baithe hain

jang-ju vo milap men bhi rahe

mujh se ankhen ladae baithe hain

dil ke khote hain sab ye sim-andam

khuub ham azmae baithe hain

husn-e-nazara-soz hai parda

go vo parda uthae baithe hain

us ki aariz se ru-kashi kaisi

gul pe ham khaar khaae baithe hain

jiite hain naam ko vagarna ham

ishq men ji khapae baithe hain

haar dekha bhi khun-e-ashiq ka

aap aur sar jhukae baithe hain

kyuun ki bigda hua unhen kahiye

bigde aur munh banae baithe hain

ji churana aur us pe haae sitam

aap ankhen churae baithe hain

sharam bhi ik tarah ki chori hai

vo badan ko churae baithe hain

jo ki baithe hain un ki pesh-e-nigah

maut aane ki jaae baithe hain

dekh saaqi ko apne dariya-dil

zarf-e-mai-kash badhae baithe hain

us ke dar se laga ke maqtal tak

jaan fida jaae jaae baithe hain

ghair baton se aur ham ankhon se

ek tufan uthae baithe hain

hai ye raushan ki hai hijab men chand

aap kya munh chhupae baithe hain

is khushi men hina lagate hain

ki mira khuun bahae baithe hain

janta huun ki qatl par mere

aap beda uthae baithe hain

mere dil soz ban ke yaar mire

muft ji ko jalae baithe hain

kya sikhaega un ko zulm-e-falak

khud vo sikhe-sikhae baithe hain

hai jahan is se faizyab ‘anvar’

jis ke dar par ham aae baithe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Han Hamein Mir Ka Diwan Nahin Hona Hai

ameer-minai

Mere Bas Mein Ya To Ya-Rab Wo Sitam-Shiar Hota

Hum Bahut Dur Nikal Aae Hain Chalte Chalte

shah-naseer

Na Zikr-E-Ashna Ne Qissa-E-Begana Rakhte Hain

To Phir Main Kya Agar Anfas Ke Sab Tar Gum usMein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet