un ke baghair kaise bhala shab basar karen
ḳhvabon men aa.en vo ki zara shab basar karen
parda uTha hijab uTha koi baat kar
so.e hue badan ko jaga shab basar karen
tu niind hai charagh hai tu dil ka chain hai
tere baghair kaise bhala shab basar karen
chup-chap ek dusre ko dekhte hain ham
ai chand koi baat bana shab basar karen
karti huun main bhi jism jalane ka faisla
tu bhi magar charagh bujha shab basar karen
jab zindagi azaab ki surat ho hijr men
is halat-e-ḳharab men kya shab basar karen
‘mahin’ kah raha hai mira yar-e-bevafa
dil ke diye ki lau ko baḌha shab basar karen
ik umr ho ga.i hai basar shab kiye hue
‘mahin’ ruTha yaar mana shab basar karen
Leave a Reply