umr ki saari thakan laad ke ghar jaata huun
raat bistar pe main sota nahin mar jaata huun
akasr auqat bhare shahr ke sannaTe men
is qadar zor se hansta huun ki Dar jaata huun
mujh se puchhe to sahi a.ina-ḳhana mera
ḳhal-o-ḳhad le ke main hamrah kidhar jaata huun
dil Thahar jaata hai bhuli hui manzil men kahin
main kisi dusre raste se guzar jaata huun
sahma rahta huun bahut halqa-e-ahbab men main
chaar divar men aate hi bikhar jaata huun
mere aane ki ḳhabar sirf diya rakhta hai
main havaon ki tarah ho ke guzar jaata huun
main ne jo apne ḳhilaf aap gavahi di hai
vo tire haq men nahin hai to mukar jaata huun
Leave a Reply