sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de
ghar bana ya dar-o-divar se ruḳhsat mujhe de
jaan ye sarkashi-e-jism tire bas ki nahin
meri aghosh men aa la ye musibat mujhe de
to faraham na ho mujh ko ye hai marzi teri
tujh ko jab chahun bula luun ye ijazat mujhe de
ye tiri bazm-e-badan yuun to nahin chal sakti
ek shab ko hi sahi is ki nizamat mujhe de
a.ine! main tira a.ina-dar-a.ina huun
aaj tak ka mira sarmaya-e-hairat mujhe de
na milega tujhe mujh sa bhi tahi-dast murid
mere hisse ki jo ho daulat-e-bai.at mujhe de
jaane kab hoga miri zaat pe ap-apna nuzul
ḳhvab koi to kabhi meri basharat mujhe de
mere bhi ek ishare men ho ma.ani ka hujum
aankh us ki jo kabhi dars-e-balaghat mujhe de
‘farhat-ullah’ ke khate men na Daal a.ine
‘farhat-ehsas’ huun main la miri surat mujhe de
Leave a Reply