• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mai-KHana-E-Hayat Ka Anjam De Gaya

Mai-KHana-E-Hayat Ka Anjam De Gaya

mai-ḳhana-e-hayat ka anjam de gaya

vo mujh ko ek TuuTa hua jaam de gaya

vo fikr-o-fan ko jazba-e-be-nam de gaya

ghazlon ko meri paikar-e-ib.ham de gaya

aaya tha saath le ke vo saughat hijr ki

ruḳhsat hua to tohfa-e-auham de gaya

zahir hue na chehre se dil ke ta.assurat

ḳhabron pe tabsira bhi bahut kaam de gaya

sahba shabab qaus-o-quzah raushni gulab

har shaḳhs tujh ko ek naya naam de gaya

duniya ki nafsiyat sama men na aa saki

har aadmi hayat ko ilzam de gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sheikh Saadi

Story 10 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Maine Apni Maut Pe Ek Nauha Likkha Hai

Dilbar Kaha Rafiq Kaha Chaaragar Kaha

Ai Junun Dasht Mein Diwar Kahan Se Laun

Ishq Mein Dil Ban Ke Diwana Chala

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet