Umangon Mein Wahi Josh-E-Tamanna-Zad Baqi Hai

umañgoñ meñ vahī josh-e-tamannā-zād baaqī hai

abhī dil meñ ḳhudā rakkhe kisī kī yaad baaqī hai

sar-e-manzil fareb-e-rahnumā kā toḌ mushkil thā

ġhanīmat hai ki shauq-e-marhala-ījād baaqī hai

hañsī aatī hai tere is ġhurūr-e-dām-dārī par

koī phandā bhī sābit aaj ai sayyād baaqī hai

sahar ne aa ke chehra vaqt kā dhoyā to kyā dhoyā

fazāoñ par ġhubār-e-ḳhātir-e-nāshād baaqī hai

tabāhī gherne vaalī thī āḳhir kin safīnoñ ko

tah-e-girdāb shor-e-har-che bādā-bād baaqī hai

abhī se bañdh ga.ī hichkī chaman-afroz kaliyoñ kī

abhī to dāstān-e-nig.hat-e-barbād baaqī hai

zabān-e-vaqt kal se ik nayā afsāna chheḌegī

bahut thoḌī sī ‘yāqūb’ aaj kī rūdād baaqī hai

Leave a Comment