ujḌe nagar men shaam kabhi kar liya karen
mujh se dua salam kabhi kar liya karen
jangal ke phuul hi sahi lekin hain kaam ke
saath un ke bhi qayam kabhi kar liya karen
har raah saaf sidhi nahin pur-ḳhatar bhi hai
suraj chhupe to shaam kabhi kar liya karen
mausam hai ḳhush-gavar to shaḳhen bhi sar pe hain
un ka bhi ehtiram kabhi kar liya karen
kaTta hai vaqt kaise kisi ko giraya jaa.e
kuchh kaam ka bhi kaam kabhi kar liya karen
shirkat tamam da.avaton men lazmi nahin
lekin kahin to naam kabhi kar liya karen
ye sach hai aage pichhe ‘shafaq’ dost hi to hain
talvar be-niyam kabhi kar liya karen
Leave a Reply