ujale tel chhiḌakne lage ujalon par
ajiib vaqt paḌa hai charagh valon par
tumhara alam-e-masti Dhaka-chhupa hi sahi
miri nigah hai TuuTe hue pyalon par
tumhare zehn men jo aaj chubh rahe honge
main kal se soch raha huun unhin savalon par
na uTh saka tire tarz-e-ḳhiram se parda
hava.en Daal ga.iin ḳhaak pa.emalon par
muhakama na karen aap apni baton ka
ye kaam chhoḌ diya jaa.e sunne valon par
musallimat se kyuun qasd-e-inhiraf kya
aqide TuuT paḌe hain mire savalon par
ye kya zarur ki ruḳh sab ka ek janib ho
faza ki qaid lagao na uḌne valon par
Leave a Reply