sajde jabin-e-shauq ke ab ra.egan nahin
tu be-hijab anjuman-ara kahan nahin
main mir-e-karvan huun pas-e-karvan nahin
hathon men mere daman-e-manzil kahan nahin
maujudgi-e-jannat-o-dozaḳh se hai ayaan
rahmat hai ek bahr magar be-karan nahin
chahe hijab men raho to chahe be-hijab
ham tum hi to hain aur koi darmiyan nahin
barq-e-jamal-e-dost na ho is pe shola zan
tera bhi ghar hai sirf mira ashiyan nahin
dilchaspiyan bahut si hain is iḳhtisar men
kuchh gham nahin shabab agar javedan nahin
sakit falak ko muft men zalim bana diya
gardish men hai zamin faqat asman nahin
nakam-tar hain meri shikasta-nasibiyan
‘maḳhmur’ sirf ziist hi na-kamran nahin
Leave a Reply