• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khub-Ru Sab Hain Magar Hura-Shamail Ek Hai

Khub-Ru Sab Hain Magar Hura-Shamail Ek Hai

poet

khub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai

aur mah-para hain lekin mah-e-kamil ek hai

haq-taala us ke zulfon se bachae al-hazar

samna hai do balaon ka mira dil ek hai

kaun sa rahat-rasan maashuq hai afaq men

dusra bhi afat-e-jan hai jo qatil ek hai

main tadapta huun to kahte hain asiran-e-qafas

zakhm-khurda ham giraftaron men bismil ek hai

jis ka ji chaha chala aaya baghair az ittilaa

aap ki sarkar men bazar-o-mahfil ek hai

shama chalti hai to parvane bhi jal jaate hain saath

vaah kya in ashiq-o-mashuq ka dil ek hai

rind-o-zahid donon puchhenge barabar dekhna

tafarqe un men dorahe tak hai manzil ek hai

us ki zulfon ka tasavvur hai jo har dam dil-nashin

main samajhta huun ki do laila hain mahmil ek hai

jo muarrif kamilon ke thi agar hoti vo aaj

ham ko bhi kahte ye apni fan men kamil ek hai

‘bahr’ apni bhi fasahat jante hain ahal-e-fahm

dusre ham hain agar sahban-o-i.l ek hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aur Ab Kya Kahen Ki Kya Hain Hum

sheikh-ibrahim-zauq

Kal Gae The Tum Jise Bimar-E-Hijran Chhod Kar

Dasht-Dar-Dasht Chamakta Raha Dariya Kaisa

Sufi

Biphri Lahren Raat Andheri Aur Bala Ki Aandhi Hai

Jo Mumkin Ho to Soz-E-Shama Parwane Mein Rakh Dena

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet